Gujarte Gujarte

 

Jab dekha tha unko waqt ke jharonkon se
To pata na tha ki samay yun hi gujar jayega

Chale is kadar un rahon pe hum
Ki kadam dagmagate the hamare

Kabhi dar tha to kabhi khusiyon me khoye the
Akele main baithhkar kabhi-kabhi hum bahut roye the
Toot jayen wo andikhe dhaage jinse ye riste badhen hain
Aise khayal man me bahut baar aate the
Badalte hav bhav ke chalte hum sawalon me kho jate the

Niyamon ko toda hadain paar kar di
Jeevan ke is daur me kuchh cheezen humne waqt ke anusaar kar di

Gujar kar in sabse humne ek naya sabera dekha
Charon taraf apne pahli baar humne khula aasman dekha