Chale Hum Yahan

Hum mudkar ek kadam peechhe chale aage jane ki oor
Hawaon ne apni bahon me leke mazboor kar diya peechhe jane ki oor

Umangon ke taraano me hum yun hi kho se gaye
Dariyaon pe waqt ke saath hum sote gaye

Manzil aayi is kadar paas hamare
Ki sapna hai ya sach is khayal me hum khote gaye

Barsat ke din the jab boondon ne hamare tan ko chhua tha
Un dooriyon ko hamne pal pal me jiya tha

Wo suraj ki lalima wo seetal chandrma
Sitaron ki dagar pe yun chale hum yahan

Gujarte Gujarte

 

Jab dekha tha unko waqt ke jharonkon se
To pata na tha ki samay yun hi gujar jayega

Chale is kadar un rahon pe hum
Ki kadam dagmagate the hamare

Kabhi dar tha to kabhi khusiyon me khoye the
Akele main baithhkar kabhi-kabhi hum bahut roye the
Toot jayen wo andikhe dhaage jinse ye riste badhen hain
Aise khayal man me bahut baar aate the
Badalte hav bhav ke chalte hum sawalon me kho jate the

Niyamon ko toda hadain paar kar di
Jeevan ke is daur me kuchh cheezen humne waqt ke anusaar kar di

Gujar kar in sabse humne ek naya sabera dekha
Charon taraf apne pahli baar humne khula aasman dekha